21st
June
2008
Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin
duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin.
lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin.
dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin.
her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar
dil se rehai pane pe qudrat usse nahin.
posted in Ghazal SMS |
21st
June
2008
Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu
Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu
Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu
Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu
Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu
Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu
Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu
Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu
Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu
Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu
Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu
Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu
Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu
Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu
Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu
posted in Ghazal SMS |
21st
June
2008
Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta
Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta
Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai
Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta
Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein
Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta
Amal ki sookhti rag mei zara sa khoon shamil kar
Mere humdam faqt batein bana kar kuch nahi milta
Mujhe aksar sitaron se yeh awaz aati hai
Kisike hijar mei neendein ganwa kar kuch nahi milta
Jiggr ho jayega chalni yeh ankhein khoon royengi
Ae dil Be’faiz logon se nibah kar kuch nahi milta
posted in Ghazal SMS |
21st
June
2008
Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai…
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai…
Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye…
Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai…
Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo…
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai…
Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein…
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai…
posted in Ghazal SMS |
21st
June
2008
Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai
woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana
aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana
teri awaaz k sehar se na nikal paana
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana
bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon
na teri yaad main reh k tere saath ka sochoon
bhoola doon saari yaadon ko ke jin se Dil tarapta hai
k jin se thees utth ti hai k jin se dard hota hai
magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
terey hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai
tou tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhoola dena
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna
tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
woh tera paas na hona bohat mehsoos hota hai
posted in Ghazal SMS |
21st
June
2008
Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya…
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya….
lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan…
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya…
aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi…
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya…
jane kya us ko logon sey thein shikayatein…
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya…
khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya….
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…
posted in Ghazal SMS |
21st
June
2008
Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee,
mager us din bohot daer ho jai gee ,
tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee,
tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee,
tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee.
mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee.
meri yaad main tum gum sum ho jao gee,
khud apni gali ka pata bhe bhool jao gee,
mere tasauwur main tum aise kho jao gee,
koi pukare ga tum meri hi bataen dohrao gee,
or main door khara teri baychaini ko daekhta rahoon ga,
or tum kuch pal ke liye mujh se khafa ho jao gee,
or main teri bikhri zulfoon ko sunwaroon ga,
or tum sharma kar mere gale se lag jao gee,
or phir jab tum rooth kar kaheen door chali jao gee,
us din me phir tum se yahee baat kahoon ga,
kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee….
posted in Ghazal SMS |